ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua
is dil ki jhil si aankhon mein ek KHwab bahut barbaad hua
ye hijr-hawa bhi dushman hai is nam ke sare rangon ki
wo nam jo mere honTon par KHushbu ki tarah aabaad hua
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhul gae
ek shaKHs kitabon jaisa tha wo shaKHs zabani yaad hua
wo apne ganw ki galiyan thin dil jin mein nachta gata tha
ab is se farq nahin paDta nashad hua ya shad hua
benam sataish rahti thi in gahri sanwli aankhon mein
aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedad hua
Ghazal
Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhaare baad hua
Noshi Gilani