اردو हिंदी
Ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad | Shaahi Shayari
ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad

Ghazal

Ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad

Haqeer Jahani

;

ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad
jachta nahin hai koi teri aarzu ke baad

tark-e-wafa ke baad hai tajdid-e-iltifat
misl-e-libas-e-kohna jo pahna rafu ke baad

karte hain bahki bahki si baaten janab-e-shaiKH
aate hain aap hosh mein sarf-e-subu ke baad

lazim nahin ki jang-o-jadal se hi kaam len
ho jae masalon ka jo hal guftugu ke baad

dil apna hi raqib yun hone laga 'haqir'
koi shaqi kabhi na raha us adu ke baad