ab KHushi hai na koi dard rulane wala
hum ne apna liya har rang zamane wala
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala
us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala
dur ke chand ko DhunDo na kisi aanchal mein
ye ujala nahin aangan mein samane wala
ek musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi mein koi der se jaane wala
Ghazal
Ab KHushi hai na koi dard rulane wala
Nida Fazli