ab KHizan aae ya bahaar aae
koi mausam to sazgar aae
hum ne haari thi ishq ki bazi
log to hausle bhi haar aae
rakh ke us dar pe sar uThate kya
aaj ye bojh bhi utar aae
ab wo lamhe hain raston ke charagh
teri dhun mein jo hum guzar aae
hai ye shoala to koi baat nahin
dil agar hai to phir qarar aae
'soz' pal pal badalti duniya par
kis tarah dil ko e'tibar aae

Ghazal
Ab KHizan aae ya bahaar aae
Soz Najeebabadi