ab KHayalon ka jahan aur na aabaad karen
KHwab jo bhul chuke hain unhen bas yaad karen
thapki de de ke sulane ki hai aadat dil ko
ab kisi aur se kyun KHud hi se fariyaad karen
kitne mausam ke chhalawe se guzar kar pahunchi
us Dagar pe ki jahan log mujhe yaad karen
hum bhi ab fikr-e-jahan chhoD ke ji bhar hans len
waqt itna bhi kahan hai jise barbaad karen
zindagi yun hi munazzam rahe aisa bhi nahin
hum nai tarz koi aur bhi ijad karen
dene wale ki mashiyyat thi jo wahshat de di
dil-e-viran jo mila hai use aabaad karen
dil ke TuTe hue TukDon ko na joDen 'shahin'
dil pe jo guzri use bhul ke mat yaad karen

Ghazal
Ab KHayalon ka jahan aur na aabaad karen
Salma shaheen