ab KHana-ba-doshon ka pata hai na KHabar hai
koi hai nazar-band koi shahr-badar hai
phir fasl-e-bahaar aai parinde nahin aae
viran abhi tak mere aangan ka shajar hai
qamat hi mayassar hai use aur na chehra
ye kaun si maKHluq hai kaisa ye nagar hai
main dhup uThae hue chup-chap khaDa hun
is dasht mein hasti meri manind-e-shajar hai
phir dekhna ye umr bhi baDh jaegi kuchh roz
us shaKHs ke lauT aane ka imkan agar hai
jo shahr tha wo qarya-e-viran hai 'zulfi'
jo ghar tha kisi daur mein ab rahguzar hai
Ghazal
Ab KHana-ba-doshon ka pata hai na KHabar hai
Tasleem Ilahi Zulfi