اردو हिंदी
Ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain | Shaahi Shayari
ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain

Ghazal

Ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain

Hasan Rizvi

;

ab ke yaro barkha-rut ne manzar kya dikhlae hain
jalte bujhte chehre hain aur maddham maddham sae hain

aaj bhi suraj ke bujhte hi halki gahri sham hui
aaj bhi hum ne tanha ghar mein angare dahkae hain

kaun kisi ka dukh-sukh banTe kaun kisi ki rah take
chaaron jaanib chalte-phirte KHud-gharzi ke sae hain

un ki yaad mein pahron rona apni yahi bas aadat hai
log bhi kaise diwane hain hamein hansane aae hain

hum pyason ke dil mein aag lagane ka hai shauq 'hasan'
ya phir baadal aaj kisi ki zulfen chhune aae hain