ab ke qimar-e-ishq bhi Thahra ek hunar danai ka
shauq bhi tha is khel ka hum ko KHauf bhi tha ruswai ka
bas wahi ek be-kaif udasi bas wahi banjar sannaTa
sau sau rang milan ke dekhe ek hi rang judai ka
pyar ki jang mein yaro hum ne do hi KHadshe dekhe hain
pahle-pahal tha KHauf-e-asiri ab hai KHauf rihai ka
apni hawa mein yun phirta tha jaise bagula sahra mein
hum ne jab dekha to ajab tha haal tere saudai ka
ajnabi chehre takte rahna shahr ki chalti rahon par
apni samajh mein ab aaya hai ye pahlu tanhai ka
aankhen apni band thin jab tak haal pe apne roe bahut
aankh khuli to dekha haal yahi tha sari KHudai ka
dil ki zamin par boe the 'baqar' bij jo dard judai ke
chaliye ab wo fasl khaDi hai waqt aaya hai kaTai ka

Ghazal
Ab ke qimar-e-ishq bhi Thahra ek hunar danai ka
Sajjad Baqar Rizvi