ab ke mile to hum donon hi
KHud ki tujh se baat karenge
KHud ki KHud se baaten kar ke
hum donon ukta bhi chuke hain
tere KHayalon mein Dube to
duniya sari ghum li hum ne
dar pe ek dastak jo hui to
hum ko ye malum hua ke
kab se hum ghar aa bhi chuke hai
raaton ko jagte rahna bhi
KHwabon se bachte rahna bhi
aankhon ki majburi hogi
aankhon ke qisse se hum to
apni aankh bacha bhi chuke hain
is mausam ka kya hai parson
narson ye bhi chal hi dega
ek gila bas tum se hai ki
us mausam mein aae ho jab
KHud ko hum bahla bhi chuke hain
ghar ke har kone se ab bhi
mahak hamari chunte hoge
yaadon ke pashmina se tum
kal ko pal-pal bunte hoge
lekin sach to ye hai sathi
hum to kab ke ja bhi chuke hain
Ghazal
Ab ke mile to hum donon hi
Renu Nayyar