ab ke mausam mein tera shahr wo kaisa hoga
meri marzi ke bina chand nikalta hoga
kaise kah dun ki mujhe kis ne hain barbaad kiya
apna aaya ho meri baat se ruKHsat hoga
ye koi baat hai jo tujh ko batai jae
sham ke waqt udasi ka sabab kya hoga
ab ki sardi mein kahan hai wo alaw sina
ab ki sardi mein mujhe KHud ko jalana hoga
tujh se milne ki kai din se tamanna hai mujhe
tu kabhi jism se bahar to nikalta hoga

Ghazal
Ab ke mausam mein tera shahr wo kaisa hoga
Naeem Sarmad