ab ke mausam mein koi KHwab sajaya hi nahin
zard patton ko hawaon ne giraya hi nahin
dekh kar jis ko Thahar jaen musafir ke qadam
aisa manzar to koi rah mein aaya hi nahin
kyun tere waste is dil mein jagah hai warna
koi chehra meri aankhon mein samaya hi nahin
us ne bhi mang liya aaj mohabbat ka subut
ek lamhe ke liye jis ko bhulaya hi nahin
mujh ko tanhai ne ghera hai kai bar magar
us ki yaadon ne magar sath nibhaya hi nahin
jis ki KHushbu se mahakte mere ghar ke dar-o-baam
waqt ne rang koi aisa dikhaya hi nahin
raushni apne muqaddar kahan hogi 'shabin'
jab diya hum ne andheron mein jalaya hi nahin

Ghazal
Ab ke mausam mein koi KHwab sajaya hi nahin
Shabana zaidi shabeen