اردو हिंदी
Ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath | Shaahi Shayari
ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath

Ghazal

Ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath

Jawaz Jafri

;

ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath
girwi us par paDe the mere salar ke hath

zehn is KHauf se hone lage banjar ki yahan
achchhi taKHliq par kaT jate hain meamar ke hath

ab sar-e-qarya-e-be-dast paDa hai kashkol
roz kaT jate the is shahr mein do-chaar ke hath

luT kuchh aisi machi shahr ka dar khulte hi
har taraf se nikal aae dar-o-diwar ke hath

hum sar-e-shaKH-e-sinan qarya-ba-qarya mahke
hum ne is jang mein sar jit liye haar ke hath

saya-sozi mein to hum log the suraj ke halif
ab hadaf Thahre ki jab jal gae ashjar ke hath