ab ke junun mein lazzat-e-azar bhi nahin
zaKHm-e-jigar mein surKHi-e-ruKHsar bhi nahin
hum tere pas aa ke pareshan hain bahut
hum tujh se dur rahne ko tayyar bhi nahin
ye hukm hai ki saunp do nazm-e-chaman unhen
nazm-e-chaman se jin ko sarokar bhi nahin
toDa hai us ne dil ko mere kitne husn se
aawaz bhi nahin koi jhankar bhi nahin
hum parsa hain phir bhi tere dast-e-naz se
mil jae koi jam to inkar bhi nahin
Thahre agar to dur nikal jaegi hayat
chalte raho ki fursat-e-didar bhi nahin
jashn-e-bahaar dekhne walon ko dekhiye
daman mein jin ke phul to kya KHar bhi nahin
Ghazal
Ab ke junun mein lazzat-e-azar bhi nahin
Bashir Farooqi