ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga
tere hathon se bhi waisa nahin ho paunga
mujh ko bimar karegi teri aadat ek din
aur phir tujh se bhi achchha nahin ho paunga
ye to mumkin hai ki ho jaun tera KHair-andesh
han magar is se ziyaada nahin ho paunga
ab meri zat mein bas ek ki gunjaish hai
main hua dhup to saya nahin ho paunga
yun to mushkil hi bahut hai mera hath aana aur
hath aaya to gawara nahin ho paunga
tu baDi der se aaya mujhe zinda karne
ab nami pa ke bhi sabza nahin ho paunga
mujh mein itni nahin tasir masihai ki
zaKHm bhar sakta hun isa nahin ho paunga
in dinon aql ki chalti hai hukumat dil pe
main jo chahun bhi tumhaara nahin ho paunga
itna aabaad hai tujh se mere andar ka shahr
tujh se bichhDa bhi to sahra nahin ho paunga
Ghazal
Ab ke bikhra to main yakja nahin ho paunga
Rahul Jha