ab ke barsat to ghar kar ke hi mismar gai
dar ko roka tha thapeDon mein ki diwar gai
kya safar kis ka makan kaisi hawa kis ka shajar
tezi-e-par gai KHas-raizi-e-minqar gai
ho gae gosha-nashin ghar mein jo hum KHak-basar
kaun si aabru-e-kucha-o-bazar gai
daere sare dil o zehn ke zanjir bane
chhin gai ruh-e-amal gardish-e-parkar gai
kuchh zyaada hi pareshan hain palaTti maujen
dard mein Dubi hui lai koi us par gai
Ghazal
Ab ke barsat to ghar kar ke hi mismar gai
Mahshar Badayuni