ab ke baras hun jitna tanha
pahle kahan tha utna tanha
duniya ek samundar jis mein
main hun koi jazira tanha
zist safar hai tanhai ka
aana tanha jaana tanha
us ko batao jism se kaT kar
rah nahin sakta saya tanha
uf ye mauj-e-tufan-e-alam
hae dil ka safina tanha
jis ko chaha jaan se baDh kar
aaKHir us ne chhoDa tanha
ghar se bahar niklo kisi din
itna bhi kya rahna tanha
ab wo kahin aur main hun kahin
umr kaTegi tanha tanha
'kashir' ki hai apni hi duniya
hoga kahin par baiTha tanha
Ghazal
Ab ke baras hun jitna tanha
Shozeb Kashir