اردو हिंदी
Ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue | Shaahi Shayari
ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue

Ghazal

Ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue

Faiz Ahmad Faiz

;

ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue
jo qatil the maqtul hue jo said the ab sayyaad hue

pahle bhi KHizan mein bagh ujDe par yun nahin jaise ab ke baras
sare buTe patta patta rawish rawish barbaad hue

pahle bhi tawaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki
hum tum se pahle bhi yahan 'mansur' hue 'farhad' hue

ek gul ke murjhane par kya gulshan mein kohram macha
ek chehra kumhla jaane se kitne dil nashad hue

'faiz' na hum 'yusuf' na koi 'yaqub' jo hum ko yaad kare
apni kya kanan mein rahe ya misr mein ja aabaad hue