اردو हिंदी
Ab ke baras bhi mahka mahka KHwab daricha lagta hai | Shaahi Shayari
ab ke baras bhi mahka mahka KHwab daricha lagta hai

Ghazal

Ab ke baras bhi mahka mahka KHwab daricha lagta hai

Bushra Zaidi

;

ab ke baras bhi mahka mahka KHwab daricha lagta hai
duniya chand nazar aati hai sab kuchh achchha lagta hai

kya jaen ye kaisi duaen in aankhon ne mangi thin
mujh ko apne kandhon par bhi us ka chehra lagta hai

us ko bichhDe muddat guzri sara jiwan bit gaya
wo aaega kuchh puchhega ab bhi aisa lagta hai

ab bhi sune man-angan mein yaad ke panchhi uDte hain
ab bhi shamen sajti hain yan ab bhi mela lagta hai

jab mamta ki aankhon se main duniya dekha karti hun
apna buDha bap bhi mujh ko nanha bachcha lagta hai

apni har taKHliq hai mujh ko is duniya mein sab se aziz
har ek man ko apna beTa chand ka TukDa lagta hai

'bushra' aao lauT chalen aur KHwab-nagar mein kho jaen
duniya mein to sab kuchh apna dekha-bhaala lagta hai