ab ke ajab safar pe nikalna paDa mujhe
rahen kisi ke nam thin chalna paDa mujhe
tarik shab ne sare sitare bujha diye
main subh ka charagh tha jalna paDa mujhe
yaran-e-dasht raunaq-e-bazar ban gae
sunsan raston pe nikalna paDa mujhe
har ahl-e-anjuman ki zarurat thi raushni
main sham-e-anjuman tha pighalna paDa mujhe
zalim bahut hai shiddat-e-ehsas-e-agahi
akasr parai aag mein jalna paDa mujhe
rahon ke pech-o-KHam mein bala ke tilism the
chalna baDa muhaal tha chalna paDa mujhe
aasan nahin tha zulmat-e-shab se muqabla
sar par jala ke aag pighalna paDa mujhe

Ghazal
Ab ke ajab safar pe nikalna paDa mujhe
SayyadTabish Alwari