ab kaho karwan kidhar ko chale
raste kho gae charag jale
aansuon mein naha gain KHushiyan
ruTh kar jab wo aa lage hain gale
ishq gham ko ubur kar na saka
raste karwan ke sath chale
hum pe guzri hain hijr ki raaten
hum jahannam mein the magar na jale
the mohabbat ki ibtida ke qusur
wo tabassum jo aansuon mein Dhale
KHak se sainkaDon uge KHurshid
hai andhera magar charag-tale
chand sakit hai ruk gae tare
ab wo aaen to gham ki raat Dhale
mai-kade ka to zikr bhi hai gunah
ab hayat-e-haram paDi hai gale
pursish-e-haal ka jawab tha kya
hans paDe hum ki jald baat Tale
Ghazal
Ab kaho karwan kidhar ko chale
Ehsan Danish