ab kahin saya-e-gesu bhi nahin
chain dil ko kisi pahlu bhi nahin
jaane kya soch ke KHush baiTha hun
mausam-e-gul bhi nahin tu bhi nahin
ab teri nazr karun kya ai dost
ab meri aankhon mein aansu bhi nahin
kis ko sine se laga kar roen
dasht mein ab koi aahu bhi nahin
muskura uThti thi wo aankh kabhi
aur ab jumbish-e-abru bhi nahin
dil ko hasrat hai tere milne ki
aur haalat pe qabu bhi nahin
Ghazal
Ab kahin saya-e-gesu bhi nahin
Rifat Sultan