اردو हिंदी
Ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar | Shaahi Shayari
ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar

Ghazal

Ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar

Sabir Zafar

;

ab kahin aur kahan KHak-basar hon tere bande ja kar
zindagi aur bhi maghmum lage shahr se aage ja kar

adam-abaad ke logon ka mizaj in dinon kaisa hoga
lauT aane ki tawaqqoa ho kisi ko to wo puchhe ja kar

main ghana peD hun aaya bhi kabhi jo mere sae ko zawal
in KHizaon se bahut dur girenge mere patte ja kar

kaT bhi sakte hain shab o roz mere in hi gali kuchon mein
lauTna hai teri jaanib hi agar tere nagar se ja kar

shaeri phul khilane ke siwa kuchh bhi nahin hai to 'zafar'
bagh hi koi lagata ki jahan khelte bachche ja kar