اردو हिंदी
Ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala | Shaahi Shayari
ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala

Ghazal

Ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala

Shahab Jafri

;

ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala
dhup aisi hai ki sae se bhi pairahan jala

chhin lo ehsas mujh se chhin lo mera shuur
is ghaTa mein tan phunka is raushni se man jala

zindagi dasht-e-sarab aur sar pe ek suraj muhit
main to main hun mere sae ka bhi sab tan man jala

kis sada ki zarb se TuTa sukut-e-sang-e-dasht
ek chingari uDi sara ka sara ban jala

dil jo tha sine mein bach sakte the kab ahl-e-KHirad
shahr mein ek shor tha daman jala daman jala

dil-dukhon ki KHak par ki shab-nashini mah ne
din kabhi nikla to ek suraj sar-e-madfan jala

tirgi ki aandhiyan uThti rahin har nur se
ek charagh aisa hai sine mein ki be-roghan jala

rafta rafta ho gae dast-e-talab ahl-e-junun
raston par sab liye baiThe hain ek daman jala

ghuT ke rah sakti thi kab tak aatish-e-rang-e-bahaar
zarb-e-mausam bhi kuchh aisi thi ki sab gulshan jala

jal gaya to kya hua aaKHir to main kundan hua
ham-nashin daman ki kya jab man jala daman jala