ab kahan dost milen sath nibhane wale
sab ne sikhe hain ab aadab zamane wale
dil jalao ya diye aankhon ke darwaze par
waqt se pahle to aate nahin aane wale
ashk ban ke main nigahon mein teri aaunga
ai mujhe apni nigahon se girane wale
waqt badla to uThate hain ab ungli mujh par
kal talak haq mein mere hath uThane wale
waqt har zaKHm ka marham to nahin ban sakta
dard kuchh hote hain ta-umr rulane wale
ek nazar dekh tu majburiyan bhi to meri
ai meri laghzishon par aankh Tikane wale
kaun kahta hai bure kaam ka phal bhi hai bura
dekh masnad pe hain masjid ko girane wale
ye siyasat hai ki lanat hai siyasat pe 'sada'
KHud hain mujrim bane qanun banane wale
Ghazal
Ab kahan dost milen sath nibhane wale
Sada Ambalvi