ab junun ke rat-jage KHirad mein aa gae
sare KHwab raushni ki zad mein aa gae
log pa gae haqiqaten qayas mein
hum yaqin se guman ki had mein aa gae
ilm ke muraqabe hain ghair-mustanad
jehl ke munazare sanad mein aa gae
lafz-e-fath ke jo tarjuman the kabhi
kyun simaT ke harf-e-al-madad mein aa gae
ek panah kya mali ki husn-o-ishq ke
sab gunah nekiyon ki mad mein aa gae
dal ki tah mein 'azim' un ki yaad rah gai
gham ubhar ke mere KHal-o-KHad mein aa gae
Ghazal
Ab junun ke rat-jage KHirad mein aa gae
Ainuddin Azim