ab jo uTThenge to kandhon pe uThana hoga
bistar-e-KHak pe phir hum ko sulana hoga
hum se ujDe hue logon se bhi mil kar dekho
darmiyan koi to ek rabt purana hoga
aaKHiri dhup hain aankhon mein basa lo warna
phir kahan KHwab kisi shab ka suhana hoga
jab ho isbaat hi KHud apni nafi ka bais
dil ko har qaid-e-tamanna se chhuDana hoga
teri duniya ki aziyyat to uTha li yarab
bojh uqba ka bhi kya yun hi uThana hoga
Ghazal
Ab jo uTThenge to kandhon pe uThana hoga
Rafat Shameem