اردو हिंदी
Ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen | Shaahi Shayari
ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen

Ghazal

Ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen

Faiz Ahmad Faiz

;

ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen
dil Thahre to dard sunaen dard thame to baat karen

sham hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifan raushan ki
ghar ko aag lagaen hum bhi raushan apni raat karen

qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahu apni gardan pe
mohr-ba-lab baiThe hain kis ka shikwa kis ke sath karen

hijr mein shab bhar dard-o-talab ke chand sitare sath rahe
subh ki virani mein yaro kaise basar auqat karen