ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain
har taraf apne KHaridar nazar aate hain
wo hamein maKHzan-e-asrar nazar aate hain
hum unhen aashiq-e-bezar nazar aate hain
hum ko mai-KHwar hi mai-KHwar nazar aate hain
sab mai-e-ishq se sarshaar nazar aate hain
bad-zani zulm-o-sitam hajw-e-sanam ruswai
ishq mein to baDe aazar nazar aate hain
sab ka dil lete hain aur apna nahin dete hain
aap hum ko baDe hoshyar nazar aate hain
KHatm mujh par hi nahin ishq masiha mere
mujh ko to aap bhi bimar nazar aate hain
ab jo ruswai pe meri unhen dard aaya hai
baryabi ke kuchh aasar nazar aate hain
dasht-paimai se jab aabla-pa sota hun
KHwab mein aap guhar-bar nazar aate hain
ek wo hain ki zamane mein hai shohra jin ka
ek hum mulk pe jo bar nazar aate hain
kuDe-karkaT ka milega na wilayat mein nishan
hind mein har taraf ambar nazar aate hain
kis se shikwa karun 'rahbar' ki sabhi ab to mujhe
mere dilbar ke talabgar nazar aate hain

Ghazal
Ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain
Jitendra Mohan Sinha Rahbar