ab ji raha hun gardish-e-dauran ke sath sath 
ye nagawar farz ada kar raha hun main 
ai rabb-e-zul-jalal teri bartari ki KHair 
ab zalimon ki madh-o-sana kar raha hun main 
'shorish' meri nawa se KHafa hai faqih-e-shahr 
lekin jo kar raha hun baja kar raha hun main
        Ghazal
Ab ji raha hun gardish-e-dauran ke sath sath
Shorish kashmiri

