اردو हिंदी
Ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae | Shaahi Shayari
ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae

Ghazal

Ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae

Mahshar Badayuni

;

ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae
ashjar ki fariyaad se sailab na aa jae

itna bhi lahu ko na junun-KHez kiya jae
phuTe rag-e-gul se to rag-e-sang mein aa jae

barish hai to aisi ki laraz jae zamin bhi
pani hai ki miTTi ko bhi talwar bana jae

log aise ki sine ki kapaT shishe pe likh den
hum aise ki patthar ko bhi patthar na kaha jae

itna bhi na ho sehn ki dar tak main pahunch kar
dar kholun to darwesh-e-dua-go hi chala jae

apna hi lahu qatil-e-tahzib-o-nasab hai
is shahr mein kis kis se KHabar-dar raha jae