ab jam nigahon ke nasha kyun nahin dete
ab bol mohabbat ke maza kyun nahin dete
tum khol ke zulfon ko uDa kyun nahin dete
tum shan ghaTaon ki ghaTa kyun nahin dete
ek ghunT ki ummid samundar se nahin jab
phir aag samundar mein laga kyun nahin dete
hai muntazir-e-hashr bahut der se duniya
ghunghru tere pairon ke sada kyun nahin dete
ye dhup rahegi to ye ruswai karegi
suraj ko gunahgar bujha kyun nahin dete
tum dusre logon pe na rakkha karo ilzam
har baat mein tum meri KHata kyun nahin dete
qatil ka hai kya nam ye sab puchh rahe hain
kya hum bhi hain hamnam bata kyun nahin dete
tum ko mere andaz-e-wafa se hai shikayat
tum mujh ko wafa kar ke dikha kyun nahin dete
jo log 'alim' apni jagah mir bane hain
ashaar ko wo tarz-e-ada kyun nahin dete
Ghazal
Ab jam nigahon ke nasha kyun nahin dete
Aleem Usmani