ab itni arzan nahin bahaaren wo aalam-e-rang-o-bu kahan hai
qafas mein baiThe raho asiro abhi nasheman bahut giran hai
guzar raha hai jo dil pe aalam ayan na hone pe bhi ayan hai
abhi faqat qasd hai fughan ka abhi se chehra dhuan dhuan hai
kahin qayamat na uTh khaDi ho zamin milti hai aasman se
baDi nazakat ki ye ghaDi hai meri jabin un ka aastan hai
ye KHushk-lab ye udas chehra ye muzmahil muzmahil se aansu
yahi fasana yahi haqiqat yahi KHamoshi yahi zaban hai
ye sab hai nai-rang-e-ab-o-dana kahan hun main aah kya bataun
yahi hain bas mere do Thikane qafas nahin hai to aashiyan hai
charagh hain aasman ke ThanDe wo bijliyan sard paD gain sab
na ab wo tufan-e-rang-o-bu hai na ab chaman hai na aashiyan hai
dhuan chhaTa shoale raqs mein hain nazar uTha dekh raushni mein
ye tujh ko kya ho gaya hai hamdam tera nahin mera aashiyan hai
uruj par hai mera muqaddar ki tasht-az-baam hai asiri
zamane ka inqalab dekho qafas ke sae mein aashiyan hai
wahi gharibon ka bhi KHuda hai bahut hai jine ko ye sahaara
'siraj' is daur se guzarna magar baDa saKHt imtihan hai
Ghazal
Ab itni arzan nahin bahaaren wo aalam-e-rang-o-bu kahan hai
Siraj Lakhnavi