اردو हिंदी
Ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai | Shaahi Shayari
ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai

Ghazal

Ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai

Mahirul Qadri

;

ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai
qafas ke samne zikr-e-bahaar hota hai

KHuda ke waste daman ka chaak sine do
kabhi kabhi to junun hoshiyar hota hai

wafa ka zikr hi kyun chheDte hain ahl-e-wafa
jab un ki KHatir-e-nazuk pe bar hota hai

wo samne hon to aansu nikal hi jate hain
ye jurm wo hai jo be-iKHtiyar hota hai

main mutmain hun agarche KHarab hai mahaul
KHizan ke baad ka aalam bahaar hota hai