ab is se pahle ki tan man lahu lahu ho jae
lahu se qabl-e-shahadat chalo wazu ho jae
qarib-e-dida-o-dil is qadar jo tu ho jae
to kya ajab teri tarif mein ghulu ho jae
bhale hi hoti hai duniya tamam hu ho jae
KHuda-na-KHwasta mere KHilaf tu ho jae
main apna phone kabhi band hi nahin rakhta
na jaane kab use taufiq-e-guftugu ho jae
tumhaari chashm-e-karam hi se hai bharam dil ka
wo din na aae ki ye jam be-subu ho jae
mile mile na mile fursat o faraghat phir
chalo yahin kahin kuchh der ha-o-hu ho jae
dimagh us ka suna hai ki aasman pe hai
meri zamin pe chal kar lahu lahu ho jae
rauf 'KHair' kisi par kabhi nahin khulna
jo aaj yar hai mumkin hai kal udu ho jae

Ghazal
Ab is se pahle ki tan man lahu lahu ho jae
Rauf Khair