ab is se pahle ki duniya se main guzar jaun
main chahta hun koi nek kaam kar jaun
KHuda kare mere kirdar ko nazar na lage
kisi saza se nahin main KHata se Dar jaun
zaruraten meri ghairat pe tanz karti hain
mere zamir tujhe mar dun ki mar jaun
bahut ghurur hai bachchon ko meri himmat par
main sar jhukae hue kaise aaj ghar jaun
mere aziz jahan mujh se mil na sakte hon
to kyun na aisi bulandi se KHud utar jaun
Ghazal
Ab is se pahle ki duniya se main guzar jaun
Ashok Sahil