ab is se milne ki ummid kya guman bhi nahin 
zamin gai to gai sar pe aasman bhi nahin 
bujha bujha sa hai dil ka alaw barson se 
kisi ki yaad ka aankhon mein ab dhuan bhi nahin 
nai sadi ke safar mein bhi hum akele hain 
hawa ke dosh pe KHushbu ka karwan bhi nahin 
tumhin batao yahan kis tarah jien hum log 
tumhaare shahar mein ghazlon ki ek dukan bhi nahin 
gharon mein sahm ke baiThe hue hain sab bachche 
samundaron pe kahin ret ka makan bhi nahin 
is ehtiyat se aankhon mein kaun aaya tha 
subut ke liye palkon pe ek nishan bhi nahin 
ek aise raaz ki manind ji raha hun 'shakil' 
ki jis ka mere siwa koi raaz-dan bhi nahin
        Ghazal
Ab is se milne ki ummid kya guman bhi nahin
Shakeel Azmi

