اردو हिंदी
Ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha | Shaahi Shayari
ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha

Ghazal

Ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha

Bekhud Dehlvi

;

ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha
tumhaare wasl ka tum se to KHwast-gar na tha

sharab pite hi wo khul gae wo khul khele
shab-e-visal mein kuchh lutf-e-intizar na tha

na jhapki jab shab-e-wada palak to hum samjhe
ye koi aur bala thi ye intizar na tha

wo tir aap ke tarkash mein kaun sa nikla
jo be-chale bhi hamare jigar ke par na tha

wo mar gaya hai to kya hai hamein bhi marna hai
KHuda gawah hai 'beKHud' wo sharab-KHwar na tha