ab is se aur ibarat nahin koi sadi
ki mera KHas hunar bhi raha KHuda-dadi
KHuda ki yaad hai KHalwat mein is liye behtar
ki KHud ko jaanega tanhaiyon mein fariyaadi
tum us ke bande bano wo ki jo dikhai na de
isi mein pinhan hai insan ramz-e-azadi
wo jaane wale hon hazir ki aane wale hon
sab ek KHat mein khaDe hain ba-qaid-e-abaadi
bata sharafat-e-duniya bata ki khul jae
karega kab talak is dil mein KHana-damadi
ye wahm fahm-e-haqiqat nahin haqiqat hai
ki bas haqiqat-e-duniya hai girya-e-shadi
ye sharq-o-gharb ke unche pahaD KHami hain
haqiqatan mujhe hasil hai jism-e-fauladi
hua na koi meri KHu se KHatir-ashufta
mera wajud hai misdaq-e-KHana-abaadi
ruke thame na yahin tak naya safar 'tamjid'
dikhae kilk-e-suKHan aage aur ustadi
Ghazal
Ab is se aur ibarat nahin koi sadi
Syed Tamjeed Haider Tamjeed