اردو हिंदी
Ab intiha ka tere zikr mein asar aaya | Shaahi Shayari
ab intiha ka tere zikr mein asar aaya

Ghazal

Ab intiha ka tere zikr mein asar aaya

Shad Azimabadi

;

ab intiha ka tere zikr mein asar aaya
ki munh se nam liya dil mein tu utar aaya

bahut dinon pe meri chashm mein nazar aaya
ai ashk KHair to hai tu kidhar kidhar aaya

hazar shukr ki is dil mein tu nazar aaya
ye naqsha safha-e-KHali pe jald utar aaya

bashar habab ki surat hamein nazar aaya
bhari jo qatre ke andar hawa ubhar aaya

zaban pe aata hai nala bhi sau karishmon se
kahan se aap ke andaz ka asar aaya

adam mein aish hai chalta hun main bhi le ai dil
jahan mein jitne musibat ke din the bhar aaya

likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat mein
ki mere marne pe KHat le ke nama-bar aaya

paDa hai shab se yun hi ab talak na li karwaT
dil-e-sitam-zada us ki gali se mar aaya

hazar shukr KHuda ka yahi ghanimat hai
na KHair aaya mere dil ko aur shar aaya

riya to dil mein thi mathe pe ab hai us ka nishan
kahan ka dagh kahan dafatan ubhar aaya

muqim-e-dil hai Danwan Dol rah ke ab iman
buton ke qahr se chhuTa KHuda ke ghar aaya

hamare pa-e-talab ne baDi muhim sar ki
ki kaT ke samne qatil ke apna sar aaya

sharab pi ke main pahuncha falak pe ai saqi
kahan se un kai qatron mein ye asar aaya

wo chahe bad kahe qasid buton ko ya mujh ko
haram mein chain se iman ja ke dhar aaya

lahad mein shana hila kar ye maut kahti hai
le ab to chaunk musafir ki apne ghar aaya

hazar shukr hua aaftab-e-hashr tulu
baDi to laj rahi ye ki tu nazar aaya

gawahiyan huin aaza ki hashr mein maqbul
wo pak ho gae ilzam mere sar aaya

hujum-e-gham ne sikhane ki lakh koshish ki
hamein to aah bhi karna na umr bhar aaya

jo chand din mein hue zi-kamal kaun hain 'shad'
hamein to sher ka kahna na umr bhar aaya

usi ko sher samajhte hain 'shad' ahl-e-mazaq
udhar paDha ki dilon mein idhar utar aaya