ab hasti-e-KHarab ka aalam sanwar gaya
ek nashsha-e-shabab tha sar se utar gaya
guzra hun rah-e-ishq mein manzil se be-niyaz
aawaz un ki pai jahan bhi Thahar gaya
muD muD ke dekhte hain mujhe rahguzar pe log
main dekhta hun zoam-e-mohabbat kidhar gaya
qadmon ko us ke chhuta hai KHud maqsad-e-hayat
jo manzil-e-nashat ki had se guzar gaya
anjam-e-ishq dekh raha hun 'nazar' se aaj
main be-KHudi mein apne hi sae se Dar gaya
Ghazal
Ab hasti-e-KHarab ka aalam sanwar gaya
Nazar Barni