اردو हिंदी
Ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna | Shaahi Shayari
ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna

Ghazal

Ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna

Jurat Qalandar Bakhsh

;

ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna
jis ke ghar ko ye samajhte the ki hai ghar apna

kucha-e-dahr mein ghafil na ho paband-e-nashist
rahguzar mein koi karta nahin bistar apna

gham-zada uTh gae duniya hi se hum aaKHir aah
zanu-e-gham se wa-lekin na uTha sar apna

dekhen kya lahja-e-hasti ko ki jun aab-e-rawan
yan Thaharna nazar aata nahin dam bhar apna

gar malun main kaf-e-afsos to hansta hai wo shoKH
hath mein hath kisi shaKHs ke de kar apna

wae qismat ki rahe log bhi us pas na wo
zikr late the kisi Dhab se jo akasr apna

zabah karna tha to phir kyun na meri gardan par
zor se pher diya aap ne KHanjar apna

nim bismil hi chale chhoD ke tum kyun pyare
zor ye tum ne dikhaya hamein jauhar apna

kya karen dil jo kahe mein ho to hum ai 'jurat'
na kahin jaen ki hai sab se bhala ghar apna