ab ghaTaen siyah halki hain
raat shayad ye khul ke barsi hain
aap sada-libas mein bhi mujhe
had se zyaada hasin lagti hain
dil mera KHanqah ho goya
dhaDkanen tera nam japti hain
ek muddat hui nahin roya
meri palken hanuz bhigi hain
bewafai ki ye adaen sabhi
aap hi se to hum ne sikhi hain
ab ye chhuTte nazar nahin aate
abr jo bastiyon pe tari hain
ab sambhalte 'KHayal-sahab' aap
bachpane ki haden bhi hoti hain

Ghazal
Ab ghaTaen siyah halki hain
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027