ab gham ka koi gham na KHushi ki KHushi mujhe
aaKHir ko ras aa hi gai zindagi mujhe
wo qatl kar ke mujh ko pasheman hue to kya
lauTa sakenge phir na meri zindagi mujhe
sare jahan mein hoti hai amn-o-aman ki baat
lekin nazar na aai kahin aashti mujhe
neza uThae phirti hai har rah mein qaza
har moD par hiras mili zindagi mujhe
main ghunT ghunT jam se bahlaun ji ko kya
be-KHauf kash kar hi de tishna-labi mujhe
ek lazzat-e-gunah thi kya lazzat-e-gunah
ta-umr ras aai na phir bandagi mujhe
kuchh aarzu nahin ki farishta banun 'anis'
kafi hai han jo log kahen aadmi mujhe
Ghazal
Ab gham ka koi gham na KHushi ki KHushi mujhe
Anees Ahmad Anees