ab ghair se bhi teri mulaqat rah gai
sach hai ki waqt jata raha baat rah gai
teri sifat se na raha kaam kuchh mujhe
bas teri sirf dosti bizzat rah gai
kahne laga wo haal mera sun ke raat ko
sab qisse ja chuke ye KHurafat rah gai
din intizar ka to kaTa jis tarah kaTa
lekin kaso tarah na kaTi raat rah gai
bas naqd-e-jaan hi sirf 'asar' ne kiya nisar
gham ki tere sab aur mudaraat rah gai
Ghazal
Ab ghair se bhi teri mulaqat rah gai
Meer Asar