ab faisla karne ki ijazat di jae
ya phir hamein manzil ki bashaarat di jae
diwane hain hum jhuT bahut bolte hain
hum ko sar-e-bazar ye izzat di jae
phir gard-e-mah-o-sal mein aT jaenge
aaina banaya hai to surat di jae
israr hi karte ho to apna samjho
dena hi agar hai to mohabbat di jae
wo jis ne mujhe qatl pe uksaya tha
us shaKHs se milne ki bhi mohlat di jae
jab meri gawahi bhi mere haq mein nahin
phir shahr mein kis kis ki shahadat di jae
hum jagte rahne ke bahut aadi hain
hum ko shab-e-hijran ki masafat di jae
chhiD jae to tabqat ki ab jang 'salim'
kuchh bhi ho magar hum ko na zahmat di jae
Ghazal
Ab faisla karne ki ijazat di jae
Saleem Kausar