ab ek dard bhi dil mein nazar nahin aata
kisi ke kaam koi umr-bhar nahin aata
ye dil bhi dost faramosh kam nahin tujh se
ki muddaton nahin aata jidhar nahin aata
na soen din ko wo raaton ko jagte hain zarur
nahin to aankh mein itna asar nahin aata
unhin ki baat hain jo main ne yaad kar li hain
magar wo un ki zaban ka asar nahin aata
muraqabe mein hai kya kya mushahida ai shaiKH
baghair us ke nazar mein asar nahin aata
adam ke nam se har ek kyun rahe bashshash
har ek shaKHs ko lutf-e-safar nahin aata
ilaj aur maraz mein na thi koi nisbat
hamare samne ab chaaragar nahin aata
ghuTi hi jati hain har rose quwwaten dil ki
main us ke sadqe jo arman bar nahin aata
dua ke Dhang hi ahbab ko nahin aate
ghalat hai ye ki dua mein asar nahin aata
wo dard mol ki ho raat-din ki nind haram
to dekh aah mein kaisa asar nahin aata
usi ne kah diya achchha hua ki wo kya hai
meri samajh mein to ye umr-bhar nahin aata
safi' ko shairi aati hai wo bhi kuchh yun hi
use bas aur to koi hunar nahin aata

Ghazal
Ab ek dard bhi dil mein nazar nahin aata
Safi Aurangabadi