ab dur talak yaad ka sahra hai nazar mein
kuchh roz to rahna hai isi rahguzar mein
hum pyas ke jangal ki kamin-gah se na nikle
dariya-e-inayat ka kinara tha nagar mein
kis ke liye hathon ki lakiron ko ubhaaren
apna to har ek pal hai sitaron ke asar mein
ab KHwab bhi dekhe nahin jate ki ye aanhken
bas jagti rahti hain tere saya-e-dar mein
kis ke liye pairon ko aziyyat mein rakha jae
KHud DhunD ke tanhai chali aai hai ghar mein
phir zill-e-ilahi ke sawaron ki sada aai
phir kaun hua morid-e-ilzam nagar mein
'qaisar' bhi salib apni uThae hue guzra
kahte hain ki KHuddar tha jine ke hunar mein
Ghazal
Ab dur talak yaad ka sahra hai nazar mein
Qaisar Abbas