ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin
'shad' ab ashaar mere dar-KHur-e-mahfil nahin
tu mere ashk-e-nadamat ki haqiqat kuchh na puchh
us ka har qatra wo dariya hai jahan sahil nahin
ghar KHuda ka tha magar but is mein aa kar bas gae
ab muraqqa hai hasinon ka hamara dil nahin
nukta-chin ho meri rindana rawish par kyun koi
main koi zahid nahin waiz nahin aaqil nahin
parda-dari karti hai dar-parda laila ishq ki
jazba-e-dil qais ka hai parda-e-mahmil nahin
inqalab-e-dahr se ulTa zamane ka waraq
ahl-e-mahfil wo nahin wo raunaq-e-mahfil nahin
hind mein chalne lagi hai ab hawa-e-inqalab
'shad' sach hai ye jagah rahne ke ab qabil nahin
saghar-e-mai pesh kar ke shaiKH kahlata hun main
hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qabil nahin
haq mein ab aashiq ke dekhen faisla hota hai kya
ishq ka dawa huzur-e-husn to baatil nahin
Ghazal
Ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin
Maharaj Sir Kishan Parashad Shad