ab dil ko hum ne banda-e-jaanan bana diya
ek kafir-e-azal ko musalman bana diya
dushwariyon ko ishq ne aasan bana diya
gham ko surur dard ko darman bana diya
is jaan-faza itab ke qurban jaiye
abru ki har shikan ko rag-e-jaan bana diya
barq-e-jamal-e-yar ye jalwa hai ya hijab
chashm-e-ada-shanas ko hairan bana diya
ai zauq-e-jushtuju teri himmat pe aafrin
manzil ko har qadam pe gurezan bana diya
uTThi thi bahr-e-husn se ek mauj-e-be-qarar
fitrat ne is ko paikar-e-insan bana diya
ai soz-e-na-tamam kahan jae ab KHalil
aatish-kade ko bhi to gulistan bana diya
waraftgan-e-shauq ko kya dair kya haram
jis dar pe di sada dar-e-jaanan bana diya
aansu ki kya bisat magar josh-e-ishq ne
qatre ko mauj mauj ko tufan bana diya
kya ek main hi main hun is aaina-KHane mein
mujh ko to kashf-e-raaz ne hairan bana diya
Ghazal
Ab dil ko humne banda-e-jaanan bana diya
Iqbal Suhail