اردو हिंदी
Ab dil hai un ke halqa-e-dam-e-jamal mein | Shaahi Shayari
ab dil hai un ke halqa-e-dam-e-jamal mein

Ghazal

Ab dil hai un ke halqa-e-dam-e-jamal mein

Zohra Naseem

;

ab dil hai un ke halqa-e-dam-e-jamal mein
dekha na tha jinhen kabhi KHwab-o-KHayal mein

ai talKHi-e-firaq ba-juz nala-e-alam
paya na kuchh bhi main ne umid-e-visal mein

fitrat ne de ke ishq ko ehsas-e-zabt-e-shauq
uljha diya hai kashmakash-e-la-zawal mein

bar-e-gham-e-jahan bhi hai tera KHayal bhi
hain kitni wusaten dil-e-ashufta-haal mein

aawaz di hai tujh ko tasawwur ne barha
rah-e-surur mein kabhi dasht-e-malal mein

apne hi dil pe kuchh nahin mauquf ai 'nasim'
har dil asir hai gham-e-hasti ke jal mein